Friday, August 12, 2005

Muhabat sha'or nahi hai.

It’s more instinctive.

Anyway, the following line just bumped into my head and inspired me to grab a pen and write something on it; like the old times. But I found myself unable to write a single word though the complete imagination was in my head…had no words to support it. I have lost it. I know I have lost my inspiration, my reasons long ago, but on a long road of life there are chunks of motivations which I had too; at times. But not now, lost them too, at the level where I couldn’t find a single word.

Anyway, then I was just going thru some old stuff and this is the first one that popped up from the random pages. This was, infact, a male version of Ambreen’s original ‘Nazm’ which I am writing here first.


Chand Ghantay
Original nazm by Ambreen Qureshi

Main nay kae jeevan jiye
Un chand ghanton main..
Ju rait ki manind hath se phisal gae..
Per usski aik aik sa'aat main..
Main nay tumhain pooja hai..

Pooray raastay
Udhar tum khamosh... Idhar main..
Per uss khamoshi main hum nay dhairon batain keen
Tumhari aankhain...
Aur mairi muskurahat ki jumbish
Jis main..
Hum nay aik dosray ko apna aap havalay ker diya
Kabhi na vapis lainay kay liye..
Tumharay hathon ka lamse mairi hathailion kay raastay..
Mairay khoon main sara'at ker gaya
Kabhi na ruknay kay liye...
Aur..
Mairi saanson main tumhari khushbo ki mehkaar aagae..
Kabhi na murjhanay kay liye..

Suno!!
Abb mujhay maloom hua hai..
Muhabbat kia pagal pan hai!!!



Chand Ghantay
Male version by Me

main ne kae jeevan jiye
un chand ghanton ke har ik pal mein
jo hawa ki manind...
hamain cho ke nikal gae
bay reham waqt bhi
tham na paya..
per us ki eik eik sa'aat mein
mein ne tumhain chaha hai.

saray rastay
idhar mein khamosh udhar tum..
per us khamoshi mein meri roh aur teri roh ne
iqrar kia, izhar kia, aur pyar kia
tumharay phool se hont aur un ki jumbish...
jo meri nazroon ki chubhan se thi
haya ki deewarain gira bethi
aur meray hath beqaboo..
teray hathoon ko apna bethay
shidat-e-jazbaat ke ahsaas
meri roh se teray jism mein sara'at ker gaye
aur jab meray hont..
meray zabt se bagawat ker bethay
tumhari sansoon ko betarteeb aur tumhain badhawas...
apnay narm aur num ahsas ki khushbo...
tumhain sonp aye

Suno!!
Abb mujhay maloom huwa hai..
ye pagal pan hi muhabbat hai!!!