Found this. Wrote it on Feb 11th 2005, the night without internet, so yes I was bored.Galiban
Urdu ki akhri kitaab "
Ibn-e-Insha" ne likhi thi. Mei ye tu nahi janta ke kia Soch ker likhi thi (
ya kuch socha bhi tha) kionke urdu adab mein soch ab sirf eik lafz ban ker rah gaya hai, shayed kabhi amal, takhleeq, eik khayal bhi rahi hu.
Na mei ye mahawara hi aap ke gosh guzar karsakoon ga ke "
bus janab kia bataon, qulam chalta gaya aur lafz bikhartay gaye" kion ke yahan tu sirf meri bay rupt ungliyoon ki junbish hai jo is keybord ki mukhtalif 'keys' per zor azmai mein masroof hain (
Ji haan aap ne sahi pehchana soch ka yahan bhi door door tak koi amal dakhal nai).
Chonke kitaab ye bhi urdu ki hi hai aur maqsad (go agar koi hai) tu wo bhi wahi hai. Jab sab kuch yaksaan hai tu kitaab ki sakht bhi eik hi honi chahiye. Yani hum har hurf se shuru karain gay aur us ke mukhtalif pehloan ka jaiza letay huwe agay barhain gay. Go ke siasat hamari kitaab ka unwaan nahi per jab baat urdu ki hai tu us ka bhi kahin na kahin kuch zikar chal hi niklay ga (umeed kerta hoon aap ko giraan na guzray ga).
Alif. Alif urdu ka pehla harf hai. Na sirf
urdu ka bulkay
Arbi aur Farsi ka bhi.
Alif ko harf-e-illat ki hasiyat ke mutabiq talaf kia jai ga, ya parha jai ga.
Alif,
agar zabar ke saath hu tu
usse '
aa' parha jai ga -- jese "run" ya "fun" mein "
u" ko talaf kia ja raha hai. Zer ke saath
Alif "in" ya "sin" mein "
i" ki tarha,
aur Pesh ke saath "push" ke "
u" ki tarha parha jai ga.
Agar Alif per mud hu tu
use us ke harf-e-illat ki hasiyat ke mutabiq tuol dia jai ga.
Agar Urdu ki farhang mein dekha jai tu
Alif ke saath pehla lafz "
Ab" milay ga jis ke angrezi maa'ina "Now" ke hain.
Alif se pehla lafz jo bachoon ko sikhaya jata hai wo "
Allah" hai.
Aur shayed waldain ye
eik lafz sikha ker samajhnay lagtay hain ke hum ne
apna deenwi wa
ikhlaqi farz pura kia. kion ke us ke
agay wo us bachay ko kabhi usi harf se
Ikhlaaq, Aajzi, Inksari, Ajar, Achai, Ahram, Ahtram, Ustad, Adab, Arshad wagera wagera jesay lafz nahi sikhatay.
Aur agar sikhai bhi jatay hain tu
Anna, Ashaam, Ishtial jesay lafz,
aur agar baat kamai ki hu tu
us ke saath lafz "
upper" lazmi kaha jata hai jese kamai
us ke bagair
adhori hu.
Bay. Harf
Bay bhi urdu ke saath saath Arbi aur Farsi ka
bhi dosra harf hai. Aur lugat mein
Bay ka pehla lafz "
Baa" hai. '
Baa' darhaqeeqat koi lafz tu nahi per kisi cheez ya khasail ke hamil afraad ya ashiya wagera ke saath lagaya jata hai. Jese ke "
Baa Ikhlaq". Lekin shayed hum mei se
buhut soon ko "
Baa Ikhtiyaar" ki misal ziada
behtar mehsoos hoti.
Bay se lafz
Baap bhi hai jis ki na hum koi
Baat suntay hain na us ke
Babat.
Baadshahi bhi sirf
Bay se hi hoti hai, aur lafz "
Baazari"
bhi bay ke hissay mein hi aya hai. Aur yaqeen kijiye ke agar yahan koi
Bazgasht nahi, lekin phir
bhi ibtida tu
Badi ki
bhi hoti hai jo yahan na sahi roz-e-mehshar ho ker rahay gi.
Bijli bhi Bay se aur us ka
Bil bhi Bay se hi ata hai (
bulkay ye kahna behtarhoga ke bijli girata hai ).
Bad kirdaar,
bad bakhti jese aur
bhi kai
Bad sirf
Bay hi lata hai... lekin
Bakhsish bhi tu
bay ke hissay mein aai hai. Aur
Bakht bhi.
Agar mujh se pochay jai ke koi eik lafz jo mein
bay se munsalik na dekhna chahon tu wo kia hu? tu mera jawab eik hi hoga, na sirf bay per shayed mein us lafz ki haqeeqat ko ko mitta huwa dekhna chahoon ga (
jo ke na mumkin hi hai).
Beharhaal, Baanjh na sirf wo lafz hai
bulkey kuch
Bay Murad aurtoon ki azmaish
bhi.
Pay. Pay Urdu aur Farsi ka tu teesra harf hai lekin Arbi mein nahi
paya jata. Galiban is liye ke
Paap sirf
Pay se hotay hain aur
Quam-e-arab Paap se bilkul
Paak hai. (
ye mein nahi kahta aap kisi bhi Musalmaan se poch lijiye)
Agar
Pay se kuch Qabil-e-zikar cheez hai tu wo sirf o sirf
Papar hain, yaqeen na aai tu aap bhi kabhi kha ker dekhiye ga.
Pay hi se hamara watan
Pakistan hai aur
Pay se hi
Pajama bhi, jise
pehan ker hum apni
Patli Patli tangoon ke saath khud ko
Pakeeza samajhnay lagtay hain.
Pay se hi bahowain apnay bachoon ko Dadi ke khilaf "
Paat"
Parhati hain aur khud
Parsai ka
Parcham bhi lehrati hain.
Pay se
Pyar bhi hai
Phool bhi,
Pazaib bhi
Peroon mein
Pay se hi sajai jati hai. Hawas ki
Pyas bhi
Pay ki
Pedawar hai, jis ka
Pemana tu bus barhta hi jata hai. Aur akhir ki
Peshmani bhi
pay hi lata hai. Lekin hamain
Pay se na-umeed na hona chahiye kion ke
Pay se hi
Pakeezgi lot ker ati hai,
Pay se hi
Peghamber Khuda ka
Peghaam lai they.