Sunday, August 14, 2005

Urdu ki "mukhtasir" akhri Kitaab.

Found this. Wrote it on Feb 11th 2005, the night without internet, so yes I was bored.



Galiban Urdu ki akhri kitaab "Ibn-e-Insha" ne likhi thi. Mei ye tu nahi janta ke kia Soch ker likhi thi (ya kuch socha bhi tha) kionke urdu adab mein soch ab sirf eik lafz ban ker rah gaya hai, shayed kabhi amal, takhleeq, eik khayal bhi rahi hu.

Na mei ye mahawara hi aap ke gosh guzar karsakoon ga ke "bus janab kia bataon, qulam chalta gaya aur lafz bikhartay gaye" kion ke yahan tu sirf meri bay rupt ungliyoon ki junbish hai jo is keybord ki mukhtalif 'keys' per zor azmai mein masroof hain (Ji haan aap ne sahi pehchana soch ka yahan bhi door door tak koi amal dakhal nai).

Chonke kitaab ye bhi urdu ki hi hai aur maqsad (go agar koi hai) tu wo bhi wahi hai. Jab sab kuch yaksaan hai tu kitaab ki sakht bhi eik hi honi chahiye. Yani hum har hurf se shuru karain gay aur us ke mukhtalif pehloan ka jaiza letay huwe agay barhain gay. Go ke siasat hamari kitaab ka unwaan nahi per jab baat urdu ki hai tu us ka bhi kahin na kahin kuch zikar chal hi niklay ga (umeed kerta hoon aap ko giraan na guzray ga).




Alif.

Alif urdu ka pehla harf hai. Na sirf urdu ka bulkay Arbi aur Farsi ka bhi. Alif ko harf-e-illat ki hasiyat ke mutabiq talaf kia jai ga, ya parha jai ga. Alif, agar zabar ke saath hu tu usse 'aa' parha jai ga -- jese "run" ya "fun" mein "u" ko talaf kia ja raha hai. Zer ke saath Alif "in" ya "sin" mein "i" ki tarha, aur Pesh ke saath "push" ke "u" ki tarha parha jai ga. Agar Alif per mud hu tu use us ke harf-e-illat ki hasiyat ke mutabiq tuol dia jai ga.

Agar Urdu ki farhang mein dekha jai tu Alif ke saath pehla lafz "Ab" milay ga jis ke angrezi maa'ina "Now" ke hain. Alif se pehla lafz jo bachoon ko sikhaya jata hai wo "Allah" hai. Aur shayed waldain ye eik lafz sikha ker samajhnay lagtay hain ke hum ne apna deenwi wa ikhlaqi farz pura kia. kion ke us ke agay wo us bachay ko kabhi usi harf se Ikhlaaq, Aajzi, Inksari, Ajar, Achai, Ahram, Ahtram, Ustad, Adab, Arshad wagera wagera jesay lafz nahi sikhatay.

Aur agar sikhai bhi jatay hain tu Anna, Ashaam, Ishtial jesay lafz, aur agar baat kamai ki hu tu us ke saath lafz "upper" lazmi kaha jata hai jese kamai us ke bagair adhori hu.




Bay.

Harf Bay bhi urdu ke saath saath Arbi aur Farsi ka bhi dosra harf hai. Aur lugat mein Bay ka pehla lafz "Baa" hai. 'Baa' darhaqeeqat koi lafz tu nahi per kisi cheez ya khasail ke hamil afraad ya ashiya wagera ke saath lagaya jata hai. Jese ke "Baa Ikhlaq". Lekin shayed hum mei se buhut soon ko "Baa Ikhtiyaar" ki misal ziada behtar mehsoos hoti.

Bay se lafz Baap bhi hai jis ki na hum koi Baat suntay hain na us ke Babat. Baadshahi bhi sirf Bay se hi hoti hai, aur lafz "Baazari" bhi bay ke hissay mein hi aya hai. Aur yaqeen kijiye ke agar yahan koi Bazgasht nahi, lekin phir bhi ibtida tu Badi ki bhi hoti hai jo yahan na sahi roz-e-mehshar ho ker rahay gi.

Bijli bhi Bay se aur us ka Bil bhi Bay se hi ata hai (bulkay ye kahna behtarhoga ke bijli girata hai ). Bad kirdaar, bad bakhti jese aur bhi kai Bad sirf Bay hi lata hai... lekin Bakhsish bhi tu bay ke hissay mein aai hai. Aur Bakht bhi.

Agar mujh se pochay jai ke koi eik lafz jo mein bay se munsalik na dekhna chahon tu wo kia hu? tu mera jawab eik hi hoga, na sirf bay per shayed mein us lafz ki haqeeqat ko ko mitta huwa dekhna chahoon ga (jo ke na mumkin hi hai). Beharhaal, Baanjh na sirf wo lafz hai bulkey kuch Bay Murad aurtoon ki azmaish bhi.



Pay.


Pay Urdu aur Farsi ka tu teesra harf hai lekin Arbi mein nahi paya jata. Galiban is liye ke Paap sirf Pay se hotay hain aur Quam-e-arab Paap se bilkul Paak hai. (ye mein nahi kahta aap kisi bhi Musalmaan se poch lijiye)

Agar Pay se kuch Qabil-e-zikar cheez hai tu wo sirf o sirf Papar hain, yaqeen na aai tu aap bhi kabhi kha ker dekhiye ga. Pay hi se hamara watan Pakistan hai aur Pay se hi Pajama bhi, jise pehan ker hum apni Patli Patli tangoon ke saath khud ko Pakeeza samajhnay lagtay hain.

Pay se hi bahowain apnay bachoon ko Dadi ke khilaf "Paat" Parhati hain aur khud Parsai ka Parcham bhi lehrati hain.

Pay se Pyar bhi hai Phool bhi, Pazaib bhi Peroon mein Pay se hi sajai jati hai. Hawas ki Pyas bhi Pay ki Pedawar hai, jis ka Pemana tu bus barhta hi jata hai. Aur akhir ki Peshmani bhi pay hi lata hai. Lekin hamain Pay se na-umeed na hona chahiye kion ke Pay se hi Pakeezgi lot ker ati hai, Pay se hi Peghamber Khuda ka Peghaam lai they.

14 comments:

SR said...

really interesting!

and Happy Independence Day to you !

Raheel Lakhani said...

makes a photocopy of shaima's comment and pass it too :)

Anonymous said...

wahhhhh...INTRESTING...n nice (Y)..:)

JonyBr said...

Thank u guys :)

uXuf said...

Hey hey! Welcome me back!

:)

Anonymous said...

Pleasure r all mine ;)

Asma said...

aaaaaahhhh ... i love this very book so much ... its a great book written very well by Ibn e Insha in his typical witty style!!!

JonyBr said...

uXuf Bhaiiiii welcome back :)

anonymous u r the same anonymous ?:p

Asma u love Ibn-e-insha's book or my short book ?:p

Raheel Lakhani said...

Now You're linked on my site :)

Btw I read your profile today. Before this, I thought you were a girl :p

Raheel Lakhani said...
This comment has been removed by a blog administrator.
Raheel Lakhani said...

Aur mein ek baat toh bolna hi bhool gaya tha bilkul first wale comment mein ke this reminds me of the movie DEVDAS =P

sheandher338 said...

haha ive heard from my mom tht urdu ki akhri kitaab is v nice and i think funny too?

as for the independence day thingie.. yeah.. i know.. everyone has different POVs abt whetehr or not it shud've have happend and we're all right in our own ways i guess...

Anonymous said...

hmmmm yah yah wohi wohi phahlay wali..;)[dobara na pochna anonymous u r the same anonymous ..:D]

Anonymous said...

Cool blog, interesting information... Keep it UP Bell pro radar detector 1719 at and t answering machines manuals Acyclovir 400mg tab prescription information